Tuesday, July 10, 2012

ಕಾಲದ ಒಳಹೊಕ್ಕು ಬಂದ ಜಾವೇದ್ ಅಖ್ತರ್

ನೈಜ ಬರವಣಿಗೆಯಿಂದಲೆ ಶ್ರೋತ್ರುಗಳ ಮನ ತಣಿಸುತ್ತಿರುವ ಜಾವೇದ್ ಅಖ್ತರ ಲಿಖಿತ ಈ ಕವನ ಸಿಕ್ಕಾ ಪಟ್ಟೆ ಲೈಕ್ ಆಗಿಬಿಡ್ತು . ಅದೇಷ್ಟೋ ಶತಮಾನಗಳಿಂಗ ನಮಗೂ ಗೊತ್ತಾಗದಂತೆ ಉರುಳುತ್ತಿರುವ  ಸಮಯದ ಕುರಿತು ಜಾವೇದ್ ಸಾಬರು ಬರೆದ ಸಾಲುಗಳು .. 



Yeh Waqt Kya Hain?
Yeh Kya Hain Aakhir Ki Joh
Musalsal (Lagaatar) Gujar Raha Hain
Yeh Jab Na Gujara Thaa,
Tab Kahan Tha?
Kahin To Hoga...
Gujara Gaya Hain
To Ab Kahan Hain
Kahi To Hoga
Kahan Se Aaya Kidhar Gaya Hain
Yeh Kab Se Kab Tak Ka Silsila Hain
Yeh Waqt Kya Hain?

Yeh Vaakye (Ghatnao),
Hadse (Aksmato)
Tasaadum (Takrav), Har Ek Gam
Or Har Ek Masrat (Khushi)
Har Ek Aziyat (Taklif)
Har Ek Lajjat (Aanand)
Har Ek Tabssum (Smit)
Har Ek Aansu, Har Ek Nagma
Har Ek Khushbu
Woh Jakhm Ka Dard Ho
Ki Wo Lams (Sparsh) Ka Jaadu
Khud Apni Aavaz Ho
Ki Mahol Ki Sadayen
Yeh Jahannm Main Banti Aur
Bigadti Hui Fizaye
Wo Fikr Main Aaye Zalzale (Earthquake) Ho
Ki Dil Ki Halchal
Tamaam Ahesaas, Sare Jazbe
Ye Jaise Patte Hain
Bahte Paani Ki Satah Par
Jaise Tairte Hain
Abhi Yahan Hain, Abhi Vahan Hain
Aur Ab Hain Auzal
Dikhai De Te Nahi Hain Lekin
Ye Kuchh To Hain
Jo Ki Bah Raha Hain
Ye Kaisa Dariya Hain
Kin Pahado Se Aa Raha Hain
Ye Kis Samandar Ko Jaa Raha Hain
Yeh Waqt Kya Hain?

Ye Kainaate Azim (Vishal Brahmand)
Lagta Hain Aapni Ajmat (Greatness) Se
Aaj Bhi Mutmain (Satisfy) Nahi Hain
Ki Lamha Lamha
Vasiitar Aur Vasietar (Vishal)
Hoti Jaa Rahi Hain
Yeh Apni Baahen Pasarti Hain
Ye Kehkashao (Aakashgangao) Ki
Ungliyon Se
Naye Khalao (Antriksho) Ko
Chhu Rahi Hain
Agar Ye Such Hain
To Har Tasvvur (Kalpana) Ki
Had Se Bahar
Magar Kahi Par
Yakinan Eisa Koi Khala Hain
Ki Jis Ko In Kehkashao Ki
Ungliyo Ne
Ab Tak Chua Nahi Hain
Khala, Jahan Kuch Hua Naih Hain
Khala Ki Jisne Kisi Se Bhi
'Kun' (Shrushti Rachvano Ishvariy Aadesh)
Nahi Suna Hain
Jahan Abhi Tak Khuda Nahi Hain
Vahain Koi Waqt Bhi Na Hoga
Ye Kainaate Azim Ek Din
Chuyegi Us Unchhue Khalako
Aur Apne Saare Vajood Se
Jab Pukaregi 'Kun'
To Waqt Ko Bhi Janm Milega
Agar Jamam Hain To Maut Bhi Hain
Main Sochta Hoon, Ye Such Nahi Hai
Ki Waqt Ki Koi Ibtida (Aadi) Hain
N Intaha (Aant) Hain
Ye Dor Lambhi Bahu Hain Lekin
Kahi To Is Dor Ka Sira Hain
Abhi Ye Insanulaz Raha Hain
Ki Waqt Ke Is Kafs (Cage) Main
Paida Hua
Yahi Voh Pala Badha Hai
Magar Uses Elm (Bhaan) Ho Gaya Hain
Ki Waqt Ke Is Kaft Ke Bahar Bhi
Eka Fiza Hain
To Sochta Hain, Puchhta Hain
Yeh Waqt Kya Hain?






No comments:

Post a Comment

ಧೂಳು ಕಣವಾದರೂನು ಏಳುತ್ತೆನೆ.